Dear friends,
Many friends asked me to share the experiences in
Hindi. Already we have languages translation on blog but that is not enough.
Sorry to all and today I will share my first company
experiences in Hindi here.
So, guys let cheerssss up.
Dosto, app sabhi ko pta hai ki maine job ke liye kya
kartha tha, wo already maine share kiya hai mere previous post me How to get Job and What should do.
Bhai jab mujhe interviews ke liye call aaya tha mai
bahut kush hua, fir kya ready ho kar chal diya. Baad me pta chala us din
Bangalore band tha aur ooper se unknown place tha. Fir maine socha ager aaj mai
company kisi tarah se pahuch gya tha thoda achha impression banega hhhh.
Tragedy:
Us din govt. busses band thi lekin pvt cabs chal rhe
the. Maine cab wale se puch ki address jante ho mujhe pahucha doge, wo baitha
liya fir baad me dusre jagah pahucha diya. Fir mai waha se dusre logo se pucha
fir cab pakda, fir jaise taise almost 2-3 KM paidal chal kar office pahucha, kyunki
bhai apni aukat nhi thi Auto se jane ka frankly. Bina job ke hum middle class
wale sochte hai jitna ho sake 2 rupye bach jaye… :P
Yaaro, aisa hota hai new places me. Shayad app logo ke
sath bhi aisa hua hoga jab aap log new places/city me jate honge.
Our
Dream:
Hum sab sochte hai ki company badi ho to mast lagta hai
dekhne me. Mai bhi kuch aisa hi socha tha Mungeri lala ke khawab hhhh. Lekin
jab pahucha to dekha ki 2 room ki company khol ke baithe the. Thoda bura laga
mujhe, lekin bhai naukri karna tha, career start karna tha.
Interviews hua, usme SQL, PLSQL puche jo mujhe kuch
khas pta nhi tha. Thoda- bahut reply diya. Baad me unhone bola reply
karenge.Fir baad me reply aaya ki Selected.
Fir kya bahut khusi. Baad me pta chala salary bahut kam
thi. Sorry yar bahut kam tha jo likhne me kharab lag rha hai yaha. Lekin
monthly expenses chal jate the.
Maine job join kar liya. Sabki tarah maine bhi socha
experiences lekar chhor denge. Kyunki hum sab jante hai suru me experiences hum
sabhi ko chahiye.
Our
Thoughts:
Jab hum interview dene jate hai aur waha ke employee ko
dekh ke kahte hai ki wo kitna lucky ha.
Reality:
Lekin bhai log ye
jaruri nhi hai ki wo aapse/humse jayada knowledgeful hai aur wo jayada intelligent hai. Wo depend karte hai
situation or luck pe bhi.
Wo intelligent
ho bhi sakte hai aur nhi bhi :D :P Lekin ye sach hai bhai aise bahut log hai jo
intelligent hote hue bhi unhe opportunity nhi milti hai.
Kabhi company ki jyada jarurat hoti hai to kabhi kuch
log lucky hote hai jo less knowledge hote hue bhi select ho jate hai…
Kuch din kaam kiya jisme sirf 4 log kaam karte the. Pehle
unhone bola php or sql kaam denge. Kuch kaam diya fir bina matlab ka bhi kaam
dene suru kar diye jaise data entry or others…
Even jab hum bolte the ki hum aise job nhi karenge to
bolte the company me rehna hai to karna padega. Hume company ka advertise karne
ko bolte the. Compnay product ke bare me internet pe advertise karne ko bolte
the and etc…
Mai aapko reason batata hun ander ki baat. Dekhiye unke
pass kaam nhi hota hai, kaam means project nhi hota hai aur wo hume salary pay
karte hai, fir wo hume use(istemal) karna chahte hai isliye wo kuch bhi kaam de
dete hai karne ko.
Humare sarafat ka log galat fayeda uthate hai. Naukri
me kabhi bhi majburi nhi dikhao. Humare emotions or izzat dene ko log majburi
samjhate hai. Even for experiences also, kabhi bhi aisi chhoti company join mat
karo.
Mai waha subah 9 baje se raat 9 ,10 and 11 baje tak.
Lekin na kuch sikhne ko mila aur na hi kuch achha experiences. Jo bate boss
bole usko mano. Achha image banane ke chakkar me har baat mano, lekin wo kuch
kaam nhi aata hai bhai. Never expect anything there; they will see their
benefit only.
Haan ek ye experiences mila jo mai aap logo ke sath
experiences kar sakte hai bata sakte hai kya hota hai waha. At least app log to
sambhal jao.
Some
useful links:
Ap ne bohat he achii post ke hai ku k har new person ko in guideline k zrorat hoti hai. laken mera experience avha guzra hai. Main ap ke is bat se agree krta hn k majbori k pechy job na kro. Khud to experties to increase kro. Further, Ap ko suggest kron ha k cabinet refinishing Manassas ko vist kro apny kitchen ko behter krny k ley.
ReplyDeleteThe reverse osmosis filter chloramine shower filter California removes the chlorine and ammonia from the water by using a filtration system that contains reverse osmosis membrane.
ReplyDelete